Storyhut Originals

“Guftagu khud se”

‘Farq’ by Mr. Saba Rahim


Musafir ka kya hai wo to chalta hi jaata hai
Raaho’n par patther ka kya hai wo to mil hi jaata hai
Musafir thokar khaata hai girta hai fir sambhal hi jaata hai
Ye patther bhi ajeeb hi hai kahin na kahin se chala hi aata hai

Hairani to is baat ki nahi k ye patther mere raaste pe kyun hain
Ye raaste to mere jaane pahchaane hain
Fir ye patther aankhon se ojhal kyun ho jaate hain?
Ya ye patther bhi apne jaane pahchane hain?

Hmm! Agar jaane pahchane hain to fir, hamein thokar kyun milta h?
Kuch to bade hain jo dikh jate hain, unse kya dar!
Aur kuch chhote hain jo dikhte nahi par gira zaroor jaate hain
Zaroori nahi, har din girta rahun, sambhalta rahun aur thokar milti rahe

Chalo Saba inse bach kar nikalna seekhte hain
Aakhir tumhe manzil tak pahuchna hai

About author

Mr. M Saba Rahim is a research scholar in the biological sciences and is trying to do the best for both plant and animal life through his research efforts. Besides, he has a dream of writing a book someday. He is a writer from time to time and feels deeply for others. He has invariably found a way to express this differently by writing.
Related posts
Storyhut Originals

Lost and Found, in Chaos!!!

Storyhut Originals

इमरान

Storyhut Originals

अंशु और बिट्टू

Storyhut Originals

Two packets of peanuts

Sign up for our Newsletter and
stay informed

1 Comment

Leave a Reply