Storyhut Originals

ZINDGI EK AUR MAUKA CHAHIYE THA

Zindgi ek aur mauka chahiye tha,
Khul ke has leta thodi der aur,
Apni galtiyon ki maafi maang leta,
Kuch achchi baatein sunta, kuch mashware deta,
Zindgi ek aur mauka chahiye tha,

Ro leta do aansu,
Baant leta dil ke gham, 
Keh deta apne dil ka haal,
Jee leta kuch aur saal,
Zindgi ek aur mauka chahiye tha,

Jinka gunehgar hu unse maafi maangta,
Nahi sunta koi ye jaanta hu, 
Phir bhi koshish karta unko samjhane ki,
Nahi sunta koi ye jaanta hu, 

Meri har buraayi pe karta main gaur,
Koshish karta unko badalne ki,
Nahi sunta koi main jaanta hu,  
Main achcha nahi ye mujhe bata chuke hain sab,
Main jo kahun ke main bura Nahi,
Nahi sunta koi main jaanta hu, 

Main phir bhi koshish karta,
Main har tarah se ladta,
Main bilkul nahi darta,
Koi nahi sunta ye main jaanta hu,
Main na marta to Kya karta,

Tune bhi zindgi mera saath na diya,
Tune bhi mujhe sirf akelapan hi diya,
Kuch khwahishein puri karta,
Achchi yaadon se dil ko bharta, 
Zindgi ek aur mauka chahiye tha.

About author

Mohammed Junaid Khan from Mumbai, a businessman with a heart of a writer who has 1 published book under his name Diary of a Father, who writes poem and satires as hobby.
Related posts
Storyhut Originals

Lost and Found, in Chaos!!!

Storyhut Originals

इमरान

Storyhut Originals

अंशु और बिट्टू

Storyhut Originals

Two packets of peanuts

Sign up for our Newsletter and
stay informed

Leave a Reply